(older post )
NOTE: 15/11/09
I have noticed that younger generation which we believe that they are not good in Urdu , or never had the opportunity to read Urdu classics by Mohd Khan , Yousafi, or Patres Bukhari, ... they are lot better in use of online material, and can benefit from "roman Urdu"( most used chat language)so I decided to write some parts of this book to share in roman Urdu for younger readers....
Col Mohd Khan writes...."Bajang Aamad"
First Chapter " Muqadamah"

Excerpts from "Bajang Aamad" by Col Mohd Khan
Ishq -e-leftaynee wa mushkilha
Hamain Hitler say hamaisha yeh shikayat rahay gi keh us ney doosri jang -e -azeem shuroo kernay say pehlay hum say mashwarah nah kiya yeh nahi keh hum mousoof ko is kar-e -khair say rooknay ki koshish kertay... hum faqat elan-e-jang main dou maheenay ka iltiwa chatay takeh apni taleem poori ker laytay'laykin hum bamushkil garmiyun ki chutiyan guzar ker college pohenchay hee thay keh aap nay hum say bala bala Poland per cherhai ker dee, jis ka baad main humaray zaati programme per khas ghera asar para.Jan 1940 main her chand keh Poland aur hitler kay doosray humsayay German bombaroon aur tankoon kay darmiyann aisi pur skoon zndigi basar nahi ker rahay thay' tahum baqi dunya bafazl-e- khuda khariat say thi aur humaray apnay mulk Hindustan main tou is shiddat say aman berpa tha keh shair or bakri ma jumla hindustaniyun kay aik ghat pani pee rahay thay'chunachay slah aur aashti kay is khusgawar mahhol main kisi ko guman tak na tha keh ain is waqt mulk kay aik goshay aik aham jangi waqaiyay ki ibtida ho rahi hay' ....yaani Lahore main aik noujawan college choor ker jang main koud pernay per tul gaya..... yeh naujwan main hi tha.
Yeh koi aisi markah ara inqilab awer qisam ki kitab nahi keh is per muqadmah dair kiya jay aur darasal muqadameh key bagair hi chapnay ja rahi thi keh humaray aik teddy mizaj dost Rehan Mirza khafqan tashreef lay aiy aur muswadeh dekh ker kisi qader tanzan fermanay lagay" tou yeh kitab akhir chap ker hi rahey gi?"
Arz kiya-"koi aitraz"?
Arz kiya-"koi aitraz"?
Boley :"dou hain aik tou aap fauji hain, dosray aap ka naam bhi kasht karana sa hey jab kam aur naam ka yeh aalam hou tou loog baja tor per pooch sektay hain keh aapko kitab naveesi ka ishtial kaisay aagaya- yani kyun na is key bajay aik morchah khod daala ya dou char beghay zameen joot li"?
phir khud hi riyat ka aylan kertay hoey kehnay lagay:
"chalo' tumhara fauji hona tou Runkuch key sadqay maaf kia ja sakta hey'laykin nam ka kuch eilaj kerna paray ga"
Arz kia:"aap ki tashkhais hey , aap hi elaj tajveez fermaine"
Bolay:"eilaj aasan hey'isi nam key aagay peechay ya darmiyan main koi piyara sa up to date nam chipka lain'maslan,Anjum,Iram,Sahab,Surkhab,Saroosh,Santosh,wagaira wagaira".
Main abhi dil hi dil main Mohammad Santosh Khan key imkanat per ghor ker raha tha keh Khafqan Sahab bolay:" Laykin puranay nam ki marammut say bhibhi kia faida? isay siray say tark ker kay aik dam modren nam kyun nahi rakh laetay? maslan Shamshad, Ishrat,Irshad,Shameem,Riyaz Talat , Firdous Naseem wagaira".

Khafqan Sahab tou maswaray dayhar tashreef lay gay'laykinhamain sochta chor gaey aur socha hum nay yeh keh Khafqan Sahab kay tajveez kerdah nam modren tou zaroor ' hain laykin hain zara mashkook say yani in say nur ya madah ka pata hi nahi chalta aur chal bhibhi jaey tou' har waqt khatka sa laga rehta hay keh kaheen uthtay baithtay ya angrai laytay jins main hi khalul na aajay' chunachay har chund keh hamain sinf -e-azuk ke ehtaram manzoor hay' bilfael hamain sinf-e-ghair lateef main hi rehnay ka shoq hay aur mahez fashion ki khatir aapna mardanah mustaqbil makhdoosh nahi kerna chahtay'laykin Khafqan sahab key is sawal ka jawab dayna munasib maloom hota hey keh kitab likhnay ka ishtial kaesay aaya.
No comments:
Post a Comment