Featured Post

Shop Urdu Poetry books at Amazon Books !

Shop Urdu Poetry books Online !  Now you can buy and browse many Urdu books just sitting at home during  your winter days.  Buy Books at Ama...

Where to find Parveen Shakir's" Khushboo"

Note:  Now after a decade a lot more poetry and fiction in Urdu available to buy and download, best of the times for Urdu readers 





(Older post)

Her collection of poetry "Khushboo" came out in70's, and it changed the way for many who came later.
In her short lived life ,She made a great impact on our society and Urdu literature....her courage and ability to express was amazing!
A revolutionary poetess of east Parveen Shakir, who beautifully depicted the feelings of sensitive soul of a woman,...you will find her poetry and thoughts reflecting sensitivities of relationships in Eastern and Western cultures alike.

She defined way sooner than any one else that, men are from Mars and women are from Venus  since the Eternity.... and it never changes !

 
Itna Maloom Hay!

Apnay Bistar peh buhat dair say main neem daraz
soochti thi keh woh is waqt kahan per hoga
main yehan hoon magar us koucha -e -rang- o- boo main
rooz ki tarah say woh aaj bhi aya hoga
aur jab us nay wahan mujh ko na paya hoga-!?


Aap ko ilm hay,woh aaj naheen aiee hain?
mairi har dost say us nay yehi poucha hoga
kyun nahi aiee woh ,kiya baat hoi hay aakhir
khud say is baat peh sou baar woh uljha hoga
kal woh ayey gi to us say naheen bouloon ga
aap hi aap kai baar woh rootha hoga

Woh naheen hay to bulandi ka safar kitna kathun
seerihan chartay hoy us nay yeh soucha hoga
rahdari main, haray lawn main phoolon kay qareeb
us nay har simt mujhay aan kayd hoonda hoga

Nam bhoulay say jo mayra kaheen aya hoga
ghair mahsoos tareeqay say woh chonka hoga
aik jumlay ko kai baar sunaya hoga
baat kertay hoy sou baar woh bhoula hoga
yeh jo larki nai aiyee hay, kaheen woh to naheen
us nay har chehra yehi sooch kay dekha hoga
jan-e-mehfil hay, magar aaj , faqat mayray bagair
haey kis darja woh bazm main tanha hoga
kabhi sunatoon say wahshat jo hoi hogi usko
us nay baysakhta phir mujh ko pukara hoga
chaltay chaltay koi manoos si aahut paa kar
doostoon ko bhi kisi uzer say rooka hoga

yaad kerkay mujhay, num ho gai hoongi palkain
"ankh main par gaya kuch" keh kay yeh tala hoga
aur ghabra kay kitaboon main jo liee hogi panah
har satar main mayra chehra ubhar aya hoga
jab mili hogi usay mayri illalat ki khabar
us nay aahistay say deewar ko thama hoga
sooch kar yeh, keh behal jay pareashani- e-dil
younhi bay wajah kisi shaks ko rooka hoga!

Itifaqun mujhay us sham miri doost mili
main nay pouha keh sunoo aiay thay woh?-kaisay thay?
mujh ko poucha tha-? mujhay dhoonda tha charoon janib?
us nay ik lamhay ko dekha mujhay aur phir huns dee
is hunsee main woh talkhi thee keh is say aagay
kiya kaha us nay.- mujhay yaad naheen hay- laykin
Itna maloom hay khaboon ka bharam toot gaya!

No comments:

Post a Comment

Kindle unlimited Plans